Majboor kar ke phir mujhe mere yaar le chalo
Uski gali main phir mujhe ik baar le chalo
Shayad yeh mera weham ho, mera khayal ho
Mumkin hai mere baad usay mera malaal ho
Pachhta raha ho phir mujhe dar se utha ke wo
Baitha ho meri raah main aankhen bicha ke wo
Usne bhi tu kiya tha mujhe pyaar le chalo
Uski gali main...
Uski gali ko jaanta pehchaanta hon main
Wo meri qatl-gaah hai yeh maanta hon main
Uski gali main maut muqaddar ki baat hai
Shayad yeh maut ehl-e-wafa ki hayaat hai
Main khud bhi mangta hon talab-gaar le chalo
Uski gali main...
Ab us gali main koi na aaye ga mere baad
Us dar pe khoon kaun bahaaye ga mere baad
Maine tu sang-o-khisht se takra ke apna sar
Wallah kar diye thay lahu se wo baam-o-dar
Phir muntazir hai woh dar-o-deewar le chalo
Uski gali main...