meri teri nigaah maiN
jo laakh intezaar haiN
jo meray teray tan-badan maiN
laakh dil-figaar haiN
jo meri teri ungliyoN ki bay-hissi say
sab qalam-nizaar haiN
jo meray teray shehar ki
har aik gali maiN
meray teray naqsh-e-paa kay bay-nishaaN mazaar haiN
jo meri teri raat kay
sitaaray zakham zakham haiN
jo meri teri subah kay
gulaab chaak chaak haiN
yeh zakham saaray bay-dawa
yeh chaakh saaray bay-rafu
kisi pay raakh chaand ki
kisi pay os ka lahu
yeh hay bhi yah nahi, bataa
yeh hay keh mehaz jaal hay
meray tumhaaray ankaboot-e-weham ka buna huwa
jo hay to iss ka kiya karaiN
nahi hay to bhi kiya karaiN
bataa, bataa
bataa, bataa
Faiz
hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)