lazim hai saho har museebat sabar-o-razaa kay saath
zor kab chala hai kisi ka qazaa kay saath
sadd shukar hai kay rahy teray shehar maiN
kaya hova jo kaTi hayaat karb-o-balaa kay saath
talluq kay bawjood hum pay hai mashq-e-sitam mudaam
shewa tera kaya ho ga na-aashnaa kay saath
kehna kay aaein aik baar, roz-e-qazaa say qabal
ja ay qaasid, kiya tujhe, hum nay khudaa kay saath
kaisi mai, kahan ki masti, zar-o-doulat say matlab kaya
hum ko to gharz hai bas ussi dil rubaa kay saath
hayaat-e-jaawedaan kay saary kissay karo kotaH
parwaany ko shaghal hai sirf raah-e-fanaa kay saath
ba-maaeil-e-qatal hain wo, koi ghalib say jaa kaho
jeeta hai issi aas main, siddaq-o-safaa kay saath
parda haTaa kay rukh say, cHoRa kamaaN say teer
zehar bhi daity haiN wo, muragghan ghizaa kay saath
iss qadar dil-huzan, hum na jaaty jaan say
iltafaat bhi rakhtay rawa, gar tum jafaa kay saath
niklay hain sair ko to shaeid aaiN iss tarf
dafan hum bhi hain idhar shehar panaaH kay saath
umeed kam hai kariN kabhi manzil pay jaa warood
ghalib jo niklay aap say rah-numaa kay saath