Yeh Aadhi Raat Ko Phir Choorian Si Kia Khanakti Hain
Koi Aata Hai Ya Meri Hi Zanjeerain Chanakti Hain
Yeh Baatain Kis Tarah Poochoon, Main Saawan K Maheenay Say
K Main Ghabra Gia Hoon Is Tarah Ro Ro K Jeenay Say
Peenay Do Mujhe Apnay Hi Lahoo Ka Jaam Peenay Do
Na Seenay Do Kisi Ko Bhi Mera Daaman Na Seenay Do
Meri Wehshat Na Barh Jaaye Kaheen Daaman K Seenay Say
K Main Ghabra Gia Hoon Is Tarah Ro Ro K Jeenay Say
**