**Meri simt aa kabhi lout kar
tu nikaal mujh ko azaab se…
tujhay yaad hai
meray har taraf
teri aarzoo ka hisaar thaa,
woh nahin rahaa…
mera saniha kabhi soch tu
teri yaad ka jo khumaar thaa, woh nahin rahaa…
tu nahin raha tau hayaat ko teri aarzoo bhi nahin rahi
lab e aab joo
barray raaz se
kisi zard rang ki shaam se
meri guftugoo bhi nahin rahi…
zara soch tu
meray saamnay koi raasta hi nahin rahaa
ghanay jangaloun ka ujaarr mein kisi nisf raat kay chaand se
mera waasta hi nahin rahaa…
teray ghum ki saari nazaakatain teray saath hi kaheen kho gayein
teray ghum se koi bhi faaida dil e be asar na uthaa saka
na ro sakaa, na rula sakaa
meray mehrbaan!
meri simt aa kabhi lout kar
gai saa`atoun kay tufail hi
kabhi sar phiri hi hawaa se mil
mera tazkaraa younhi chairr day
mujhay yaad kar
mujhay yaad aa
woh jo dar barray khamosh hein
unhain khol tu
kuch bol tu
kabhi paaniuoun kay sakoot par mera naam likh…!!
gaye mosamoun ko bulaa kabhi
meray saath chal kaheen duur tak
kisi shaakh se hi lipat kar
koi patt tau mujh pay nisaar kar
tu khud ko mujh pay utaar de
mujhay pyaar kar, mujhay piyaar kar
meri simt aa kabhi lout kar
meray raastoun ko ghubaar kar…
**
meray mehrbaan!
meri simt aa kabhi lout kar
gai saa`atoun kay tufail hi
kabhi sar phiri hi hawaa se mil
mera tazkaraa younhi chairr day
mujhay yaad kar
mujhay yaad aa
woh jo dar barray khamosh hein
unhain khol tu
kuch bol tu
kabhi paaniuoun kay sakoot par mera naam likh....!!
gaye mosamoun ko bulaa kabhi
meray saath chal kaheen duur tak
meri simt aa kabhi lout kar
meray raastoun ko ghubaar kar…