Ajeeb tarha say utri hai ab ke tanhai
Deewar-o-dar say baras nay lagi hai tanhai
Yeh meray ghar ki udasi say darr gayi shayad
Lipat ke mujh say galay ro rahi hai tanhai
Chalo ke sham huwi ab to lautna hai mujhe
Ke meray ghar pe meri muntazir hai tanhai
Main ja ke us ko sunata hoon hal-e-dil apna
Phir apna haal sunati hai mujh ko tanhai
Woh rasta ho ke manzil ho ya ke mehfil ho
Meri rafeeq —meri razdar —tanhai
Bari talash say us ko mila hai ghar mera
Phiri hai meray liye dar badar yeh tanhai
Kabhi yahan bhi to qadmon ki aahatain aain
Mujhi say kahene lagi hai yeh meri tanhai…