Niklete thhe kahaan jaane ke lie, pahunche hai kahaan maalum nahin
Ab apne bhaTakte quadmon ko, manzil ka nishaan maalum nahin
Barbaad wafa ka afsaana hum kis se kahen aur kaise kahen
KHaamosh hain lab aur duniya ko, ashkon ki zubaan maalum nahin
Dil shola-e-GHam se KHaak hue ya aag lagi armaanon me
Kya cheez jali kyun seene se, uTHta hai dhuaan maalum nahin
Humne bhi kabhi is gulshan ek KHwaab-e-bahaaran dekha thha
Kab phool jhaRe, kab gard uDi, kab aaee khizaan maalum nahin
Kya KHaak woh jeena hai jo apne hi lie ho
KHud miTke kisi aur ko miTne se bacha le
Apne pe bharosa hai to ek daauv lagale
PalaTke su-e-chaman dekhne se kya hoga
Woh shaaq hi na rahin, jo thhi aashiaan ke lie
GHarazparast jahaan me, wafa talaash na kar
Ye sheh bani thhi kisi doosre jahaan ke lie
Mohabbat kar to len lekin, mohabbat raas aae bhi
Dilon ko bojh lagte hain, kabhi zulphon ke saae bhi
Hazaaron GHam hai is duniya me, apne bhi paraae bhi
Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai
Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai
Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun
Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun
Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai
Ke jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yunhi
UTHegi meri taraf pyaar ki nazar yunhi
Main jaanta hun ke tu GHair hain magar yunhi
GHalat saare daawe, GHalat saari quasmen
Nibhengi yahaan kaise, ulfat ki rasme
Yahaan zindagi hai, rivaajon ke base
Rivaajon ko tum toRna chaahte ho
BaRe nasamajh ho, ye kya chahte ho
Mere dil ki mere jazbaat ki queemat kya hai
Uljhe uljhe se quayalaat ki queemat kya hai
Maine kyun pyaar kiya, tumne na kyun pyaar kiya
In pareshan sawalaat ki queemat kya hai
Tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai
Maana ke abhi tere mere, in armaanon ki queemat kuchh bhi nahin
MiTTi ka bhi hai kuchh mol magar, insaanon ki queemat kuchh bhi nahin
Insaanon ki izzat jab jhooTHe sikkon me na toli jaaegi
Jo dil ki dhaRkanen samjhe, na aankhon ki zubaan samjhe
Nazar ki guftagu samjhe, na jazbon ka bayaan samjhe
Usike saamne uski, shikaayat ka iraada hai
Poochhe koi dard-e-wafa, kaun de gaya
Raaton ko jaagne ki saza, kaun de gaya
Mushkil ho arz-e-haal, to hum kya jawaab den
Aaj woh baat nahin, phir bhi koi baat to hai
Mere hisse me ek, halki si mulaquaat to hai
Ghair ka hoke bhi, ye husn mere saath to hai
Haai kis waqt mujhe kab ka gila yaad aaya
Kitne bhoole hue zakhmon ka pata yaad aaya
Tum agar mujhko na chaaho to koi baat nahin
Tum kisi aur ko chaahogi to mushkil hogi
Ab agar mel nahin hai, to judaai bhi nahin
Baat toRi bhi nahin, tumne banaai bhi nahin
Ye sahaar hi bahut hai, mere jeene ke lie
Tum agar meri nahin ho, to paraai bhi nahin
Mere dil ko na saraao to koi baat nahin
Ghair ke dil ko saraaogi, to mushkil hogi
Tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshqadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ke ye jalwe paraae hain
Mere humraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai
Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai
Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun
Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun
Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai
Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai
Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun
Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun