dosto.. aap ke paas urdu ki dictionary hai na? ![]()
Lets welcome KKF to share his 10 favorite Ghazals (Nazmen agar pasand hon to wo bhi karwa sakte hain).. ![]()
dosto.. aap ke paas urdu ki dictionary hai na? ![]()
Lets welcome KKF to share his 10 favorite Ghazals (Nazmen agar pasand hon to wo bhi karwa sakte hain).. ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
KKF hazir honnnnnnnnnnnnnnnnnnn
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
where is KKF ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
Aik KKF sab dictionarion par bhari…
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
Lagta hai KKF aasan aasan poems dhoondne main der laga rahe hain ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
mainy to ferozul lughat khol kar beth giya hoan… finger crossed…
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
thank you for inviting me…lol…aisaa nahiiN hai, janaab. ab maiN kia karuuN agar sho’araa mushkil Urdu kaa iste’maal karte haiN! ![]()
ok merii pahli pasand yeh rahi.
yeh Nazam Haafiz e Shiraaz kii ek Faarsii Ghazal kii tazmeen hai.
1. beKhabari [nazam] by AsGhar GonDvii
**Hazar jaama dari sad hazaar bakhia gari
tamaam shorish o tamkeen nisaar e baykhabari
Haafiz-e-Shiraaz
**
**Sukoon e shorish e pinhaan hay shaghl e jaama dari
Qaraar e seena e sozaan hay naala e sehri
**
**Mizaaj e ishq bohat mu’tadil hay in rozon
jigar main aag dehakti hay aankh main hay tari
**
Yay darr hay her bun e moo ab lahoo na day niklay
Kuch aisay zor pay hay aaj kaavish e jigari
**Jo mujh pay guzri hay shab bhar woh dekh lay hamdam
Chamak raha hay miza per sitaara e sehari
**
**Utha hay dard… rag e jaan hay tishna e nishtar
Mujhe hay aaj talash e kamal e chaara gari
**
**Gharaz nishat o alam say faqat tamasha hay
kay yay manazir e rah aur main hoon rah guzari
**
**Na mud’aa koi mera na kuch haraas mujhe
Kay aashiqi hay faqat bay dili o bay jigari
**
**Teri nigaah kay sadqay yay haal kea hay mera
Kamal e hosh karoon ya kamal e baykhabari
**
**Ghazab hua kay garaybaan hay chaak honay ko
Tumharay ishq ki hoti hay aaj parda dari
**
**Kaheen hay ishq kaheen hay kashish kaheen harkat
Bhara hay khama e fitrat main rang e fitna gari
**
**Mahaal tha koi hota yahan siwa teray
Yay kul jahaan hay mannat pazeer e kam nazari
**
**Woh her ayaan main nihaan hay woh her nihaan main ayaan
Ajeeb tarz e hijaab o ajeeb jawla gari
**
**Kuch is tarha hueen aajiz nawaziaan us ki
Kay meri aah ko hay ab talash e bay asari
**
**Nuzool paykar e khaaki pay Rooh e Azam ka
Zahay kamal e sarafandagi o bay hunari
**
**Karam kuch aaj hay saqi ka woh tarab angaiz
Kay jur’aa jur’aa hay moj e taranum e sehari
**
**Us aastaan say uthaayee na phir jabeen main nay
Haram main sajda e paiham thi aik dard e siri!
**
**Chupi hay neem nigaahi main rooh e baytaabi
Mili hay husn e tabassum ko rayzish e sharari !
**
**Na jaayeay meri bigrri huee adaaon per
Kay aashiqi main meri husn ki hay jalwa gari
**
**Jo shokhion say lea hay jamal e baytaabi
To josh e husn say paayi adaa e jama wari
**
**Leay hain zulf say aashuftagi kay kul andaaz
Nigah e mastt say pohancha hay husn baykhabari
**
**Khamosh…Asgher e bayhooda kosh o herza sara
Kay husn o ishq ki achi nahi hay parda dari
**______________________________________________
Ba gosh e hosh suno pind e Haafiz e Shiraaz
‘Cha nukta eest ba tarz e taranum e shukari’
**“Chu her khabar kay shaneedam rahe ba hairat daasht”
“Azeen spish mun o saaqi wa wa’ze bay khabari”
(Hafiz e Sheeraz)**
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
^
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
boht koshish k baad kuch samajh aya
jo samajh aya woh boht hi
hai
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
**Mizaaj e ishq bohat mu’tadil hay in rozon
jigar main aag dehakti hay aankh main hay tari
**
inn rozon? in dinon ka Persian tarjuma?
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
BTW Asghar Gondvi ka pana original kalaam bhi boht acha hai.. jaise Zahid ne mere haasil e eman nahin dekha… aur wo shair to mujhe boht hi ziada pasand hai:
Chala jata hon hansta khelta mauj e hawadis se
Agar Asaniaan hon Zindagi dushwar hojaay
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
wah achi hai,yeh alag bat hai k mujhy samajh thori thori aye hai ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
tabhi KKF doosri post karne main itna time le rahe hain ke ye hazam ho to doosri maidan main lae ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
Is ka easy urdu version kab aye ga.. ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
when you will be sharing your favorite 10 poem ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
ek he parh k munh tairha ho rha hai mera to ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
umeed hai ab aasan wali aai gi ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
don’t discourage KKF
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (KKF)
aage bhi kuch paish kar dein KKF…