Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
<!--[if gte mso 9]>
Woh jou hum meiN tum meiN qaraar thaa, tumheiN yaad hou key naa yaad hou Wohi yaani Waada Nibaah kaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Woh jou Lutf mujh pey thay peshtar, Woh karam key thaa merey haal par Mujhey sab haey yaad zara zara tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Woh Naye giley Woh shikaayateiN, Woh mazey mazey ki hikaayateiN Woh har aik baat pey ruthana tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Kabhi Baithey sab meiN jo Ru-baroo, tou IshaarouN hi sey Guftugu Woh BayaaN Shauq kaa Baramalaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Huey Ittefaaq sey gar baham, tou Wafaa jataaney kou dam-ba-dam Gilaa-e-malaamat-e-Aqrabaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Koi baat aisi agar hui key tumhaarey jii kou burii lagi Tou bayaaN sey pehlay hi bhoolnaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Kabhi hum meiN tum meiN bhi chaah thi, kabhi hum sey tum sey bhi Raah thi Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Suno zikr hai kai saal kaa, key kiya ik waada aap ney thaa sou nibaahane kaa tou zikr kiya tumheiN yaad ho k na yaad ho
Woh Bigarnaa Wasl ki Raat kaa, woh naa maannaa kisi Baat kaa Woh nahiN nahiN ki har aaN Adaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Jisey Aap gintey thay aashnaa, Jisey aap kehaty thay ba-wafaa MeiN Wohi huN Momin-e-Mubtala tumheiN yaad hou key naa yaad hou
(Momin khan Momin)
kabhi hum bhi tum se the aashna, tumhe yaad ho ke na yaad ho. That was by Qateel Shifai, I think.
This one by Momin is my favorite as well and Nayyara Noor sung it so beautifully, especially the version used in 'Zikr hai Kai saal ka'