Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
Mohsin Naqvi ka koi kalaam pasand hai?
hehehe, abhi mein mohsin naqvi kou hi soch rahaa thaa....

post karein na mohsin Naqvi ko
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
kar doon gaa koi jaldi tou hai nahin ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
Aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-namm muskuraati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shamma jalti rahi gham ki lou thartharaati rahi raat bhar
bansuri ki sureeli suhaani sadaa yaad ban ban key aati rahi raat bhar
yaad key chaand dil mein utartey rahey chaandani jagmagaati rahi raat bhar
koi deewana galiyoun mein phirta rahaa koi aawaaz aati rahi raat bhar
(Makhdoom Mohiuddin)
which one is your favorite shair in this ghazal. If Abida Parveen hadn't sung it, I found this quite ordinary ghazal, which may not attract readers.
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
post karein na mohsin Naqvi ko
aap select kar len... iske baad aap ki bari hai
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
which one is your favorite shair in this ghazal. If Abida Parveen hadn't sung it, I found this quite ordinary ghazal, which may not attract readers.
not one couplet the whole ghazal is mine favourite and also faiz Ahmed faiz's version.
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
qadr-e-jouhar hai jou pindaar samait
mujh kou parkhou merey maya'ar samait
roaz maangein yeh dua khaana badosh
ghar naa ujrey dar-o-deewaar samait
kitni banjar hui fasl-e-aawaaz
shehar chup chaap hai bazaar samait
kaash logoun ki tarhan sooey chaman
hum bhi jaayein kabhi dildaar samait
koun karta qad-o-qaamat kaa hisaab?
ik qayaamat thaa woh raftaar samait
jinn ki haibat sey hiraasaaN lashkar
be-nishaan ab hein woh talwaar samait
bujh jaayein kahin aakhein meri
yaad aa, mash'al-e-rukhsaar samait
khaak uRti hui sadiyoun se idhar
qaafley gumm huey saalaar samait
hawas-e-darham-o-deenaar ki khair
loag bikney lagey kirdaar samait
Mein key Mohsin hoon shaheed-e-naamoos
dafan karnaa mujhey dastaar samait
(Mohsin Naqvi)
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
wah wah, one of my favourites. I read this on the local radio here sometime ago. ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
kisi khatoon ka kalam pasand nahin? ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
aa gaye na Parveen Shakir per. ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
khawateen kaa kalam bhi pasand hai like ada jaffri, zohra nigah, parveen shakir lakin meri top ten list mein nahin hai inn kaa koi kalaam, afsaana/noverl nigaari mein ziaada pasand hein khawateen like bano qudsia, quratalain haider, ismat chughtai, khadija mastoor etc. ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
beautiful :k:
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
thanks…
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
Fakhira bhool gaye aap? ![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
Naa junooN raha naa pari rahi
<!--[if gte mso 9]>
naa tou tu rahaa, naa tou meiN raha, jou rahi sou be-khabri rahi
shah-e-be-khudi ney ataa kiyaa mujhey ab libaas-e-barhanagi
naa khirad ki bakyagari rahi, naa junooN ki parda-daari rahi
chali samt-e-ghaib sey ik hawaa key chaman zahoor kaa jal gayaa
magar aik shaakh-e-nihaal-e-gham, jisey dil kahein sou hari rahi
nazar-e-taghaaful-e-yaar kaa, gilaa kis zubaaN sey bayaaN karuN
key sharaab-e-sad qadah aarzu, kham-e-dil meiN thi sou bhari rahi
woh ajab ghaRi thi key jis ghaRi liyaa, dars nuskha-e-ishq kaa
key kitaab aqal ki taaq meiN, jyuN dhari thi, tyuN hi dhari rahi
terey josh-e-hairat-e-husn kaa, asar iss qadar sou ayaaN huaa
key naa aainey mein jilaa rahi, naa pari kooN jalwa gari rahi
kiyaa khaak aatish-e-ishq ney dil-e-be-navaa-e-siraaj kooN
naa khatar rahaa, naa hazar rahaa, magar aik be-khatri rahi
(Siraaj Aurangaabadi)
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
kisi aur gham mein itni khalish nihaaN nahiN hai
gham-e-dil merey rafiqouN! gham-e-raayegaaN nahiN hai
koi hum-nafas nahiN hai koi raaz-daaN nahiN hai
faqat aik dil thaa ab tak sou woh mehrbaaN nahiN hai
meri rooh ki haqeeqat merey aansuoN sey poochou
meraa majlisi tabassum meraa tarjumaaN nahiN hai
kisi aankh kou sadaa dou, kisi zulf kou pukaaro
baRi dhoop paR rahi hai koi saayebaaN nahiN hai
inhi pathrouN pai chal kar agar aa sako tou aao
merey ghar key raastey mein koi kehkashaaN nahiN hai
(Mustafa zaidi)
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
chali samt-e-ghaib sey ik hawaa key chaman zahoor kaa jal gayaa
magar aik shaakh-e-nihaal-e-gham, jisey dil kahein sou hari rahi
![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
kisi aur gham mein itni khalish nihaaN nahiN hai gham-e-dil merey rafiqouN! gham-e-raayegaaN nahiN hai
koi hum-nafas nahiN hai koi raaz-daaN nahiN hai faqat aik dil thaa ab tak sou woh mehrbaaN nahiN hai
meri rooh ki haqeeqat merey aansuoN sey poochou meraa majlisi tabassum meraa tarjumaaN nahiN hai
kisi aankh kou sadaa dou, kisi zulf kou pukaaro baRi dhoop paR rahi hai koi saayebaaN nahiN hai
inhi pathrouN pai chal kar agar aa sako tou aao merey ghar key raastey mein koi kehkashaaN nahiN hai
(Mustafa zaidi)
my favorite as well
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
meri rooh ki haqeeqat merey aansuoN sey poochou
meraa majlisi tabassum meraa tarjumaaN nahiN hai
![]()
Re: Meri Pasand ki 10 Ghazlen / Nazmen (hybridkamal)
<!--[if gte mso 9]>
Woh jou hum meiN tum meiN qaraar thaa, tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Wohi yaani Waada Nibaah kaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Woh jou Lutf mujh pey thay peshtar, Woh karam key thaa merey haal par
Mujhey sab haey yaad zara zara tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Woh Naye giley Woh shikaayateiN, Woh mazey mazey ki hikaayateiN
Woh har aik baat pey ruthana tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Kabhi Baithey sab meiN jo Ru-baroo, tou IshaarouN hi sey Guftugu
Woh BayaaN Shauq kaa Baramalaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Huey Ittefaaq sey gar baham, tou Wafaa jataaney kou dam-ba-dam
Gilaa-e-malaamat-e-Aqrabaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Koi baat aisi agar hui key tumhaarey jii kou burii lagi
Tou bayaaN sey pehlay hi bhoolnaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Kabhi hum meiN tum meiN bhi chaah thi, kabhi hum sey tum sey bhi Raah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Suno zikr hai kai saal kaa, key kiya ik waada aap ney thaa
sou nibaahane kaa tou zikr kiya tumheiN yaad ho k na yaad ho
Woh Bigarnaa Wasl ki Raat kaa, woh naa maannaa kisi Baat kaa
Woh nahiN nahiN ki har aaN Adaa tumheiN yaad hou key naa yaad hou
Jisey Aap gintey thay aashnaa, Jisey aap kehaty thay ba-wafaa
MeiN Wohi huN Momin-e-Mubtala tumheiN yaad hou key naa yaad hou
(Momin khan Momin)