meri nazar may apni nazar baar baar rakh

meri nazar may apni nazar baar baar rakh
ek Teer Dil, jigar kay hamesha hi paar rakh

Daman may uskay gul m’ri rahoN may Khaar rakh
ek haaTh may sitaray a’r ek may Ghubaar rakh

DhaRkan pe apni kuchh bhi To, Tu eKhTyaar rakh
aiy beqraar Dil Tu zara To qraar rakh

aankhoN ko ho sakay To zara ashkbaar rakh
paiwastah rah shajar se ummeed-e-bahar rakh

Gham se jo hai T-alluq usay usTwaar rakh
rakhna hi hai agar To Dil-e-sogwaar rakh

sarchashma Terey Dil may muhabbaT ka hai agar
sookhay har aik hont pe aansoo ki Dhaar rakh

aiy mauT zinDagi ka abhi haaTh main hai haaTh
Thamoonga Tera haath bhi, Tu aitbaar rakh

Dil may naheeN jo ishq To kaahe ki banDagi
sajday may apnay sar ko agarche hazaar rakh

kaaba agar naheeN To isay buTkaDa bana
Dil may KhuDa ki yaD ya Tasveer-e-yar rakh

hamlay shaDeeD honge anaa ke KhaTib phir
qaaim KhuDi ke girD KhuDa ka hisaar rakh

cool

BEAUTIFUL BOY KEEP IT UP

:k: :k:

hmmm nice JL

thanx TD, HH n Lamhay

hi

you welcome jani

Buhat Khoob :k:

very very niceeeeeeee:k:

Allah kher kare jidher ko palto nazar ki hi baatein ho rahee hai, lagtaa gapno ne gapiyon ki neend ki kashti mein suraakh kar daalein apnee tez-daar akniyon se :slight_smile:

pehle capri aur abh janlewaa bhahi bhi geyaa kaam se

sahee hei yaar kambakhat 6 din se neend nahee aayi

:k: