meri nazar mai apni nazar baar baar rakh

meri nazar may apni nazar baar baar rakh
ek Teer Dil, jigar kay hamesha hi paar rakh

Daman may uskay gul meri rahoN may Khaar rakh
ek haaTh may sitaray aur ek may Ghubaar rakh

DhaRkan pe apni kuchh bhi To, Tu eKhTyaar rakh
aiy beqraar Dil Tu zara To qraar rakh

aankhoN ko ho sakay To zara ashkbaar rakh
“paiwastah rah shajar se ummeed-e-bahar rakh”

Gham se jo hai T-alluq usay usTwaar rakh
rakhna hi hai agar To Dil-e-sogwaar rakh

sarchashma Terey Dil may muhabbaT ka hai agar
sookhay har aik hont pe aansoo ki Dhaar rakh

aiy mauT zinDagi ka abhi haaTh main hai haaTh
Thamoonga Tera haath bhi, Tu aitbaar rakh

kaaba agar naheeN To isay buTkaDa bana
Dil may KhuDa ki yaD ya Tasveer-e-yar rakh

hamlay shaDeeD honge anaa ke KhaTib phir
qaaim KhuDi ke girD KhuDa ka hisaar rakh

bhut khoob :k:

jaan leli

uff jaan leva aapka malom nahi but tumhari shayri jaan leva zeroor he :)