Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kar de

Meri qismat men bhia aisa koi sajda kar dy,
Jo mere sary gunahon ka mudawa kar dy

Sari dunya se chhura kar mujhay apna kaar dy,
Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kar dy

Me tera chahny wala hun magar hai hasrat,
Jin ko tu chahta hay mujh ko bhi wesa kar dy

Ek nazar apny gunahgar py kar k MAULA,
Apni rehmat ka sazawar hamesha kar dy

Jis taraf chahun faqat tery hi jalway dekhun,
Shauq.e.ulfat ko meray had se ziyada kar dy

Re: Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kar de

@muqawwee123 very nice :k:bhai …yeh kiske ashar hai…afsos sirf ek baar like ker sakta hun…:frowning:

Re: Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kar de

Thanks for liking Ninja. The poet is Abrar Nadeem.. This is read beautifully.

Re: Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kar de

kaya baat hai Muqawee :k:

Re: Meri mitti ko Khudaya tu ab sona kar de

Extremely beautiful. Simply heart-touching. Thanks for sharing.