this song is so deep
*meri kismat mein tu naheen shaayad
kyon tera intzaar karta hoon
main tujhe kal bhi pyaar karta tha
main tujhe ab bhi pyaar karta hoon
aaj samjhi hoon pyaar ko shaayad
aaj main tujh ko pyaar karti hoon
kal mera intazaar tha tujh ko
aaj main intazaar karti hoon
sochta hoon ke meri aankhon ne
kyon sajaaye the pyaar ke sapne
tujh se maangi thi ye ek khushi maine
toone gham bhi naheen deeye apne
zindagi bojh ban gayi ab to
ab to jeeta hoon, aur na marta hoon
main tujhe kal bhi pyaar karta tha
main tujhe ab bhi pyaar karta hoon
ab na toote ye pyaar ke rishte
ab ye rishte sanbhaalne honge
meri raahon se tujh ko kal ki tarah
dukh ke kaante nikaalne honge
mil na jaaye khushee ke raste me
gham ki parchaeeyon se darti hon
kal mera intazaar tha tujh ko
aaj main intazaar karti hoon
dil naheen ikhtiyaar mein mere
jaan jaayegi pyaar mein tere
tujh se milne ki aas hai aa ja
meri duniya udaas hai aa ja
pyaar shaayad issi ko kehte hai
har ghari bekaraar rehta hoon
raat din teri yaad aati hai
raat din intazaar karti hoon
*