hum sunaein tou kahani aur hai
Yaar logon ki zabani aur hai
hum sunaein tou kahani aur hai
Yaar logon ki zabani aur hai
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
khatawar samjhe gi ye dunia tujhe
ab itni bhi ziada safai na de
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
Qaul o fail mein tazzaad:hmmm:
ya phir har baar nai kahani
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
naguftah beh hai Khayaalaat o maqaalaat kii dunyaa
aisii 'ajab kiuN hai, yaa Rab! yeh swaalaat kii dunyaa
meraa ek fil-badeeh she’r! abhii abhii aamad huii hai lol ![]()
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
it kind of made me laff.
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
Kaafi achcha sher keh deytay hain aap. :k:
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
thankoo…kah dete haiN yaa kah lete haiN? lol…maiN she’r kah kar kisii ko detaa nahiiN bal k kisii aur ke kahe huye she’r le letaa huN aur use apnaa kah kar pesh kar detaa huN! ![]()
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
Keh deytay hain …kyun kay mein bhi dusron kay shair baray fakhar se le leyti hun
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
lo jii…goyaa ham donoN ek hii thaali ke chaTTe baTTe nikle. milaao haath! ![]()
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
Thaali kay bengan kessa rahey ga ?!?!
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
Bejamaloo
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
BTW whtas kinda of laff? english wala laaf ya urdu wala?
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
ab itne bhi ham gol maTol nahiiN! ![]()
liHaaf waalaa laaf hai! ![]()
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
bhii lihaaf ka season nahin aaya hai
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
Yeh english waley laugh ki tang toot gaee hai derasal ![]()
Re: meri kahani yaar logon ki zabani
English ki taang tornwalon ko 7 khoon maaf hain ![]()