**meri hayat pay haq tujh ko he sanam kitna
he dastras mein khushi kitni , aur alam kitna
dhuwa dhuwa sa meray jism mein he dam kitna
karon ga pairahan ashkon say apnay nam kitna
kabhi tu rehm bhi aye machlatay armaN par
khial-o-khuwab mein rakhon tujhay sanam kitna
gulu khulasi meri ho bhi paye gi , k nahi
rahay ga haal mein shamal tera karam kitna
gila kahan ye zara jannay ki khuwahish he
llikha naseeb mein baqi raha sitaam kitna
kabhi tu ban k haqiqat bhi samnay aa ja
tasawworat mein pojon tujhay sanam kitna
har ek bar hawalon say jantay hein tumhein
ab aur iss say ziada milo gay kam kitna
bana dia mujhay hasrat o yaas ki tasveer
mein krta hijer ki roodaad bhi raqam kitna
badast dil he tha majboor , so chala aya
laraz raha he gali mein har ik qadam kitna
shikast-e-dil say kam aajiz thay hum , k us pay khalish
utha rahay hein bhulanay mein us ko gham kitna**