Meri haazaaron khwaishoon mein

Meri hazaaroon khwahishoon mein
Ek masoom khwahish yeh bhi hai
Ke kabhi kisi poore chaand ki raat mein
Saahil kinaaray, chaandni tallay
Hum donoo akele hoon
Chupke se bethe paani mein
Chaand ka, mera aur tumhaara aks laraz raha ho
Aur mein tumhara haseen chehra
Apne hathoon mein bhar kar
Tum se pyar bhari sargooshi mein
Tumhari jheel sifaat aankhoon mein
Jhaanktay huwe sirf itna kahoon
“Mujhe tum se muhabbat hai”
Aur tum aankhain band kar ke
Dheere se muskura do
Apna sar mere shaane se tika kar
Apni madhur awaaz mein
Mere kaan mein keh do
“Mujhe tum se muhabbat hai”
Aur phir sharma kar
Apna chehra mere seenay mein chupa do
Phir jab mera aur tumhaara dil
Ek saath dharakne lagay
Tu ussi sammay meri jaan
Meri jaan meri aarzoo hai ke
Hawa ki saans ruk jaaye
Behtay paani mein larazta huwa chaand
Mera aur tumhaara aks thamm jaaye
Aur wakt ka dariya behtay huwe
Ussi aik manzar mein jamm jaaye
Woh lamha waheen ammar ho jaaye
Hamesha hamesha hamesha ke leye

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

inni romantic poem:~)

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

Buhat Masoon aur Khoobsurat Khuwahish Hai Tehreem.. :)

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

waaah tahreem saheba, bahot hi khuubsurat aur dilkash nazm. ishq karne ko jee chahta hae ;)

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

Very nice tahreem :k: Mujh sey pehley logoN ney jo kaha wohi is nazm ke baarey meiN kaha ja sakta tha. Almost all has been said and all rightly so. Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

thanks Amal jee acha laga k aap ko pasand ayee

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

hahah tow karlein naa kis ney roka hai:D anyways thanks aaap kahan ho abhi jao ab tow main miss kar rahi hoon aap ko or sid ko nahi usey kal he baat hoi the:D

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

nahi AHmer jee meri thori poet ke khawish hai:D thanks 4 liking

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

jee inni romantic aap ko pasand nahi aayee:bummer:

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

koi hona chahiye na jin ke saath ishq karein ;) **
**koi gabru hae- Jhanjharewali wajja maardi....hahaha!!

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

a ver very Beautiful poem…very nice…:k:
thanx for sharin :hugz:

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

urdu ki zabban main to ye nazm ghazab ki ho sakti hai. lakin aaj kal ki angrazi ‘poetry’ k saamnay yeh ‘sentimentality’ se bhari hooee hai aur ‘gushy’ hai.

mera khyaal hai agar is nazm ko ek filmi gaanay main badal diya jaayey, to kaffi kamyaab hogi, aur log is ko suntay-suntay mohabbat k samnudar main doob jaayengay.

the song could be like this:

aaan ooon aaan ooon
aaan ooon aaan oon
meri hazaaron kwashon main
meri hazaaron kwashon main
aaan ooon aaan ooon
aaan ooon aaan oon
ek massom kwahish hai
k chaudween ki raat main
toon saahil kinaaray
baithi meray pass ho…

Re: Meri haazaaron khwaishoon mein

thanks all