I don’t know the name of the poet but something that struck me deep down somewhere:) If anyone knows the name of poet, please do let me know…
Meri ghazal ko shikaayat hai mairay shairoN say,
JuRRay huvay haiN iss qad’r kiouN andhairoN say?
MaiN chaahataa tau bahut thaa kay uss say baat karoon,
Woh iss tarah say magar ghir gayii thii ghairoN say.
Nice… pata nahee kiskee hai
PS: I was trying to PM you complete poem but your Inbox is full.
here it is but without poet’s name…
Meri ghazal ko shikaayat hai mairay shairoN say,
JuRRay huvay haiN iss qad’r kiouN andhairoN say?
MaiN chaahataa tau bahut thaa kay uss say baat karoon,
Woh iss tarah say magar ghir gayii thii ghairoN say
Gali kay moR tak to aagayee thee meri khushi,
Zara sa faasla bhee taey hua na pairoN say
Koi sawaal uThaay tu maiN jawaab bhi doon,
Nahee tu kaunsi zubaan bolooN beharoN say
Har ek baat ka matlab nikaaltay haiN woh,
Khuda nijaat dilaa day yeh shuk kay peharoN say
Jo ho rahaa hai tamaasha abhi tu honay do,
Utaar daiNgay ek din naqab chehroN say
Galay milo keh milo to zara khushi say milo,
Mila hai kya kisi ko besabab ke bairoN say
Keh tikk gayee ho jab nazar kisi kee manzil par,
Usay hai wasta kya raston kay DeroN say
Hai LakhoN motiyoN say Qeemti tumhari hansi
Zara sambhal kay rakhnaa isay lutairoN say
Meri ghazal ko shikaayat hai mairay shairoN say,
JuRRay huvay haiN iss qad'r kiouN andhairoN say?