1- Ye ajeeb khail hay piyaar ka, main nay aap daikha ye mo’ojza
Wo jo lafaz mery gumaa’n main thay, wo teri zuba’n pay aa gay
Wo jo geet tum nay suna nahi, meir umer bhar ka riyaz tha
Meray darad ki thi wo dastaa’n, jisay tum hansi main ura gay (Amjad Islam Amjad)
2- Haath uljhay hoay resham main phansa bethay hain
Ab bata kon say dhagay ko juda kis say karain?
Something really different “Takhleeq”
3- Takhleeq k khumar main choor
ik kush.gawar mood main
us nay jab
be.hisaab logon k naseeb main
khushiyaan likh dali hoon gi
be.shumar, Tab!
us nay ik lamhay
ruk kar
socha ho ga
Tawazun ki khatir
kuch to tabdili chahiye
aur yoon is mood main
likhnay ko agla naseeb
us nay jo safha palta
Wo mera tha!!!
Ye ajeeb khail hay piyaar ka, main nay aap daikha ye mo'ojza
Wo jo lafaz mery gumaa'n main thay, wo teri zuba'n pay aa gay
Wo jo geet tum nay suna nahi, meir umer bhar ka riyaz tha
Meray darad ki thi wo dastaa'n, jisay tum hansi main ura gay
(Amjad Islam Amjad)
baat to kuchh bhii nahii.n thii lekin us kaa ek dam
haath ko honthon pe rakh kar rokanaa achchhaa lagaa
dil men kitane ahad baandhe the bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade toranaa achchhaa lagaa
niim shab kii Khaamushii me.n bhiigatii sarakon pe kal
terii yaadon ke jaalo men ghuumanaa achchhaa lagaa
us uduu-e-jaan ko 'Amjad' mai.n buraa kaise kahuun
jab bhii aayaa saamane vo bevafaa achchhaa lagaa
ye to bohot hi master piece hay Amjad Islam Amjad ka, its really nice
bus 4th shair main agar "GhaDii" ki jaga "Gharri" hota to confussion to na hoti :D