meri dastaan-e-hasrat woh suna suna kay roye
meri dastaan-e-hasrat woh suna suna kay roye
meray aazmanay walay, mujhay aazma kay roye
koi aisa ehl-e-dil ho kay fasaana-e-mohabbat
main usay suna kay ro_un, woh mujhay suna kay ro_ay
meri aarzoo ki duniya, dil-e-naatawa’n ki hasrat
jisay kho kay shaadma’n thay, usay aaj paa kay roye
teri beywafaaiyon par, teri kuj adaaiyon par
kabhi sar jhuka kay roye, kabhi munh chupa kay roye
jo sunayi anjuman main shab-e-gham ki beeti
kayi ro kay muskuraye, kayi muskura kay roye
Saif-ul-din Saif