Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.

Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.
**Mujhay azmany walay mujhay azmaa kay roay.
**
Koi aisa ahle dil ho keh fasana –e- muhabbat
**Main usay suna kay rooon, who muhay suna kay roooay
**
Meri aarzu ki dunya, dil-e-natwan ki hasrat
**Jisay kho kay shadman thay, usay aaj paa kay rooay.
**
Teri bay wafaiyoon par, teri kujh adayioon par
**Kabhi sar jhuka kay roay, kabhi munh chupa kay rooay.
**
Jo sunaee anjuman mein shab-e-gham ki aab beeti
Kai log muskaray kai muskara kay kay roay.

Re: Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.

:teary2: :cryb: :crying: :teary1:

Re: Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.

lagta hai load shedding ho gaye hai. :hmmm:

Re: Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.

:nahi: Sunday ko loadshedding nahin hoti… per Barish kabhi bhi ho sakti hai :hehe:

akhaan chham chham wasiyan :crying:

Re: Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.

Aaj baarish nahin suraj hai aur temperature -01 hai. :frowning:

Re: Meri daastan-e-hasarat who suna suna kay roay.

-01 main dhoop kiya kare gi