*
**Meri Chashm-e-Khushk Mein Rat-jagey Ka Diya Na Ban Kay Jala Karo
Issay Aansu-on Say Nawaaz Do Maira Zakhm Zakhm Hara Karo**
Jo Ayaan Khuloos Ki Leher Hai Ye Gharaz Fareib Ka Zehar Hai
Ye Naye Mizaaj Ka Shehar Hai Zara Faasley Say Mila Karo
Chalo Jo Tumhara Usool Hai Dil-o-Jaan Say Hum Ko Qubool Hai
Ye Jafa Tumhari Sarisht Hai To Jafaaon Pey Bhi Jafa Karo
**Main Kisi Ka Aks-e-Jamaal Hoon, Main Wujood Hoon Ke Khayal Hoon
Mujhey Apni Koi Khabar Miley Mujhey Aainey Say Reha Karo**
Na Ye Zo’m Hai Na Futoor Hai Ye Chalan Hi Maira Guroor Hai
Mujhey Kya Jhukaao Gey Meh-vasho Jo Haseen Ho To Hua Karo
Ye Mairi Shanaakht Ka Lafz Hai Magar Ajnabi Ki Si Tarz Hai
Issey Martaba Miley Naam Ka Issey Inn Labon Say Adaa Karo
Jo Nahin Woh Waqt To Kya Hua Kisi Bhi Firaun Ka Khof Kya
Kay Tumhaarey Haath Qalam To Hai So Issi Say Kaar-e-asa Karo.. !*
*
*one word "beautiful"
*
*
the second misra reminds me of this ghazal of Bashir Badr
yuu.N hii besabab na phiraa karo, ko_ii shaam ghar bhii rahaa karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake pa.Daa karo
ko_ii haath bhii na milaayegaa, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai, zaraa faasale se milaa karo
abhii raah me.n ka_ii mo.D hai.n, ko_ii aayegaa ko_ii jaayegaa
tumhe.n jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo
mujhe ishtahaar sii lagatii hai.n, ye mohabbato.n kii kahaaniyaa.N
jo kahaa nahii.n vo sunaa karo, jo sunaa nahii.n vo kahaa karo
kabhii husn-e-pardaanashii.n bhii ho zaraa aashiqaanaa libaas me.n
jo mai.n ban-sa.Nvar ke kahii.n chaluu.N, mere saath tum bhii chalaa karo
ye Khizaa kii zard-sii shaam me.n, jo udaas pe.D ke paas hai
ye tumhaare ghar kii bahaar hai, ise aa.nsuo.n se haraa karo
nahii.n behijaab vo chaa.Nd saa ki nazar kaa ko_ii asar nahii.n
use tanii garmi-e-shauq se ba.Dii der tak na takaa karo
*
*