Meri chahat ka sar e aam to charcha na karo
Kam to pehlay bhi nahain oor to ruswa na karo
Kabhi jugnu, kabhi taray, kabhi narguss keh kar
Tum meri aankhon ko iss tarah to na chiRa karo
Bhaanp jay na kahain dil ki lagi yeh dunia
Yon shafaq ban ke meray chehray peh na Tehra karo
Baat choTi si bhi afssana bana daiti hay
Tum kitabon peh meray naam ko lekha na karo
Hay ibatad ki tarah naam tumhara bhi mujhay
Tum sahifay ki tarah zehin main utra na karo
Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain
Raat ko dair talak tum mujhay socha na karo
Samanay sub ke karay kis tarah aqraar Batool~
Yon sar e bazm to us say yeh taqaza na karo
(Batool)