Meri Aas ka GulShan abhi khilnay Day
Meray Dil ki pyaas ko kuch Buhjnay Day
Teray Beghair zindagi Adhori Hai
Meri zindagi ka Maqsad mujay Milnay Day
Chand ki Bikri Chandni main
Mujay khud main Madhosh Hoonay Day
khushboon say Mehak rRaha Hai mera Aagan
Apni Chahat ka Deea is main Jalnay Day
Is Raat kay Mehktay Hooay Sanatoon main
Mujay khud main aaj Khonay Day
Dhak Rahi Hai meray Ander Teray pyaar ki Aag
Apnay pyaar ki Barish ko aaj Baras nay Day
Meray is Adhoray wajood ko
Apni Bahoon main Bekhar nay day
Meri Be karariyoon ko karar Day
Aaj khud ko Be karar Hoonay Day
Meray Dil kay Anderoon main
Apni Mohabbat kay Chirag Jalnay Day
Meri Naas Naas main Dhor raha Hai Tera pyaar Lahoo Ban ker
In Qurbatoon,In Fasloon ko aaj Mitnay Day
Meri Chahat ko ak Naya “RUKH” Lainay Day
IS waqt Dil ko Dil Say Milnay Day…!!