Ishq hai mera dil nasheen,dard hai dilruba mera
Hai koi ahlay dil jisay chayie mashwara mera
Main nay kisi bhi shakhs say pahal na kii judaayi main
Manay na manay mera dost janta hai Khuda mera
Meri bhi zindagi main wo pahla nahi tha chara gar
Main kahoon kis zubaan say kay yaar tha bay wafa mera
Saray jahan kii raaye thii aur hii kuch teray liye
Dost tujhay bana lia dekh yeah hosla mera
Ishq kay zahar say mujhay kab thii yeah aa gahii
Mujh ko amar bana gaya choota sa tajurba mera