Kabhi y**ad aye tu pochhna , kabhi apni khalwat-e-shaam say
Kissay ishq tha teri zaat say, kissay piyar tha teray naam say
Zara yad karo ke woh kaun tha, jo kabhi tumen bhi aziz tha
Woh jo jee utha teray naam say, woh jo mar mita teray naam pay…
Hamen berukhi ka nahi gila, ke wafao,n ka hay yahi sila
Magr aisa jurm tha konsa, ke gaye duaa-o-salam say
Na kabhi wisaal ki chah ki, na kabhi firaq main Aah ki
Ke mera tareeqa-e-bandagi juda hay tareeqa-e-aam say **
[RIGHT]
[/RIGHT]