meri auqaat kya
mere din raat kya
reza reza badan
qatra qatra lahu
tukray tukray ziddein
raaegaa’n justaju
lamha lamha safar
bay-samar aarzu
aik aawaargi
sar-basar ku-baku
mere zer-e-nagee’n
kab koi aasmaa’n
kab koi sar-zamee’n
mera malboos-e-jaa’n
khaak ki aastee’n
is liyey jaan-e-man
bhool kar ehd-e-jaa’n
chor kar shehr-e-tan
tor kar bay-khalal
dard ki har rasan
mujh say bay-saakhta
bay-niyaaz-e-wafa
cheen kar bay-sabab
saya-e-zulf-o-lab
mujh se kar k juda
apna band-e-qaba
tu ne acha kia
meri auqaat kya
mere din raat kya …