Meri arzoo...

[quote]
Originally posted by Nayab:
**
Charagh mangtee rehne ka kuch sabab bhi nahin
Andhera kese bataoun ke ab to shab bhi nahin
Jo mere sher main mujh seh ziada bolta hai
Main is ki bazm main ik harf-e-lab bhi nahin**
[/quote]

** sehar ki Shart nahiN Shaam-e-gHam ki Qaid nahiN
yahaaN jo Doob ke ubhre wohi Sitaaraa hai**

i posted too

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

look dekho asmaan sky
pigeon kabootar urhan fly lollzz

he he …

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

[quote]
Originally posted by Tassneef:
**
** sehar ki Shart nahiN Shaam-e-gHam ki Qaid nahiN
yahaaN jo Doob ke ubhre wohi Sitaaraa hai****
[/quote]

Dil-e-nadan ke bhi ajeeb he fesle
Kabhi qurabton ko chahay,kabhi bardha lehte hai fasle
Zarha si khushi bhi na seh sakhe kabhi
Aur kabhi ghumoN se karte hai muqable

[quote]
Originally posted by Nayab:
** Dil-e-nadan ke bhi ajeeb he fesle
Kabhi qurabton ko chahay,kabhi bardha lehte hai fasle
Zarha si khushi bhi na seh sakhe kabhi
Aur kabhi ghumoN se karte hai muqable**
[/quote]

** FaasloN ke koi Maini hi Mohabbat meiN nahiN
Chaand ko Behr ke Pehloo meiN machalte dekhaa**

Behr = Sumandar ...Dariyaa

Hmmm Wah dost jee…Hmmm kia baat hai …aj kal bardhe sweet sweet seh sher likh rehe hai…humhe nahin batahe ghay…keh koun hai woh…hmmm

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif

Hum gham-zadhaa hai,lahe kaha seh pyaar keh gheet..
DehgeiN wohi jo paheiN ghe zindagii seh hum..

lolz

apne dukhoN ki Shehr meiN Tafseer le ke chal
Gardan meiN Tauq , paouN meiN Zanjeer le ke chal

Kia kehe ankh ka saaliqa badal dehta hai
Eh hasne walhe mujhe aanso nazaar ahe to kese..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif

Sorry

Soory

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/confused.gif

hehe acHa sher hai iss per kaisaa sorry

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

baheiN ashk kiouN tumhaare inheiN rok lo kHudaa-raa
Mujhe Dukh Qubool saare yeh Sitam nahiN gawaaraa

chaleiN ab aap ke aansoo beh rahe haiN to aik Nazm ho jaye

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Lijyie Arz kiya hai

  • ahuN ahuN* !Galla Saaf kiya hai!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

**

Ishq-e-Naa’rasaa

Kabhi aapna bhi ik Shanaa-saa thaa Koi meraa bhi Aaasraa saa thaa

Kabhi maiN bhi kissi ka thaa ,Matloob
Ya mujhe bas youNhi lagaa saa thaa

Wo Saraapaa Jamaal Sar-taa-Paa
Husn-e-San’at ka Moajzaa saa thaa

Nargis-Chasm neem-baaz uski
Chaman-e-dil khulaa khulaa saa thaa

kHam-e-Lab !! barg-e-Gul Angrhaai
Dehan-e-gHunchaa neem-waa saa thaa

Husn ki Chaandni se Taabindaa
Phool-Chehraa khilaa khilaa saa thaa

kHush-Takkalum sa kHush-adaa saa thaa
Be-takalluf saa be-reyaa sa thaa

You Lagaa jab milaa wo pehli baar
Jaisse SadioN se Aaashnaa saa thaa

Bhar diyaa uss ne jo barsoN se
mere Seene meiN ik kHalaa saa thaa

Ik Karishmaa-e-FasooN ka pur-asraar
HairatoN ka mujasmaa saa thaa

KHam’shi meiN Sarood-e-Be-awaaz
Guftagoo meiN gHazal-saraa saa thaa

Dhoop meiN Saaye-daar uskaa pyaar
Aur AndheroN meiN ik Diyaa saa thaa

Aaashnaa ho ke Ajnabi thaa wo ShakHs
Saath reh kar judaa judaa saa thaa

Dil meiN ghar kar gaiyaa wo dil ka Chor
Dil-NasheeN kitnaa Dilrubaa saa thaa

Us ke Dayam Faraaq meiN Shab-o-Roz
Wassal ka sarmadi mazzaa saa thaa

Jab bhi wo aaiyaa, saath NagHmaa-saraa
AaarzouN kaa Taaifaa saa thaa

Jab gayaa, HasratoN kaa uske saath
aik gHmanaak jam-ghaTaa saa thaa

Mujhe Kangaal kar gayaa wo ShakHs
Meraa to bas wohi Asaasaa thaa

MaiN nahiN jaantaa wo thaa keyaa Cheez
thi Haqeeqat keh Wahimaa saa thaa

Thaa wo tabeer mere kHwaaboN ki
Yaa Hayyulaa saa kHwaab kaa saa thaa

Pyaar meiN Jis ke Umr beet gai
Keya Faqat aik dam Dilaasaa thaa?

Deeda-e-Hosh jab khulaa dekhaa
Har taraf phir wohi kHalaa saa thaa

Wohi maiN thaa Wohi Talab Dil ki
Wohi Ik Ishq-e-Naa’rasaa saa thaa

Pyaas bujh na saki kissi Maye se
Jaane dil kiss balaa kaa pyaasaa thaa
**

PS:- Mushkil alfaaz to bohaat haiN phir bhi agar jo samajh naa aayen mujhe likh dijyiega maiN aapko aini likh dooNgaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Thanksssssssss Aghar ishi tarha aap humhare rohne par itni acha acha likhe ghay to pher to humhe chahiye keh hum roz rohe…kion

Woh roz roz jo bicharde to koun yaad karein..
Woh aik din bhi na ahe to yaad ahe bohot..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif

hehee to maiN Buraa Buraa likhna shuru kardooNga lolz

Qateel mujhko buraa ussne keh diyaa bhi to keyaa
Yahi bohat hai mujhe Yaad kar rahaa thaa koi

jumps in to thread and blast one shair

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

arz kiya hai ahem ahem

Kia milaY gha tujhaY bikhraY huwey khwabooN kae siwa
rait peR chand ki tasveeR bananaY walaY

:slight_smile:


~Mere hathoon ki lakeeroon ke izaafe hain gawah
main nae pathar ki tarha khud ko tarasha hai bohat~

OoOoOoO

smile

Ohhh maiN bhi kaahooN itna zor-daar Dhammakaa kioUn hwuaaa..ab patta chalaa aap ne jump maari hai hmmm lollzz

kHwaab-e-adam se choNke they ham tere waaste
AaakHir ko jaag jaag ke na-chaar so gaye

Wadaa kia thaa keh khuwaabouN main milhe ghay
Marhe khushi keh neend na ahee to kiaa karo

hehee lolzz
Mujheey Patta thaa apko Raat ko neend nahi aaig

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

koi churaa akr le gaiya…ahem ahem Kon hai wo

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

Neend aati nahiN PhooloN pe kHird-mandoN ko
Ham to Deewaane haiN KaanToN per bhi so sakte haiN

kHird-mand= Aqalmand

He he kion kion nahin …aap ko to sab kuch pata hota hai na…esha kuch bhi nahin hai …aur na to kabhi kohi ho ghaaaaaaaaaaaaa

Hum tumhare sapnoo ki duniya main koye koye seh rehte hai
Raat ko jaghe jaghe seh ,din ko sohe sohe seh rehte hai
Raat keh anchaal main tumhari yaad ke hi tare bunte hai
Shabnam ki sorar aina-e-gull per rohe rohe seh rehte hai