meri arz-e-watan phir teri dehliz pah

Ah meri arz-e-watan,phir teri dehliz par maa
Youn nagooN sar khara hoon,koi mujrim jaisay
Ankh ba-Ashk hay barsay huway badal ki tarhan
Zahan ba-Rang hay Ujray huwa Moosam jaisay
Sans laitay huwey iss tarhan laraz jata houn
Apnay hi zulam sa kanp uthta ha zalim jaisay

Tou nay baksha tha meray fun ko wo ejaz keh jo
Sang-e-khara ko darhknay ki adda deta hay
Tou nay woh sehar meri harf-e-nuwa ko bakhsha
Jo dil-e-qatray main Qulzum ko chupa deta hay
Tou na woh shoula-e-adarak diya tha mujh ko
Jo kaf-e-khak ko insan bana deta hay

Hujla-e-zaat may aynay juray thay itnay
Keh maa majbour tha gar Mahave-e-khud Araye tha
Teri Rotti huvey mitti par nazar kya jamti
Keh maa hastay huway jalwoun ka tamanai tha
Aik pal ankh uthahey bhi agar teri taraf
Maa bhi auroun ki tarhan tamashai tha

Tujh par zulmat ki Ghangor ghata chahey thi
Aur maa chup tha keh roshan ha meray ghar ka charagh
Teray Ma-khanay par kya kya na Qyamat toti
Aur maa khoush tha salamat ha abhi mera Bagh
Maa naa apnay gunaGhar badan ko chuma
Garcha joyaey mohabat thay teray jisam kay Dagh

Aur abb khawab sa chunka houn tou kya dekhta houn
Aik aik haraf mera teir-e-Malamat hay mujhay
Tou agar ha tou mera fun bhi meri zaat bhi ha
Warna ya sham-e-tarab subha-e-qyamat haa mujhay
Meray awaz kay dukh sa mujhay phachan zara
Maa tou keh bhi na sakoon kitni nadamat ha mujhay

Ajj sa mera hunar phir sa Asasa ha tera
Apnay afkar ki Nas Nas may utaroon ga tujhay
Woh bhi shair tha jiss na tujhay Takhliq kya
Aur maa bhi shair houn khoun da kar sawaron ga tujhay
Ah meri Arz-e-watan, Ah meri Jaan, ah meray Fun
Jab talaq Tab-e-taklum hay pukaroon ga tujhay

Manaoo jashan ka roshan hain mashalain apni
Darida sar hain tou kya gham shakista dast nahian
meray watan ki jabian par damak raha haa jo zakham
Woh naqash-e-fatha hay dagh-e-shikisht nahi

[This message has been edited by juMurA (edited May 22, 2002).]

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/redface.gif

k: bohat khob…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mairay dill mairay mussafir

wow,
mindblowing…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

haye

[QUOTE]
Originally posted by juMurA:

Manaoo jashan ka roshan hain mashalain apni
Darida sar hain tou kya gham shakista dast nahian
meray watan ki jabian par damak raha haa jo zakham
Woh naqash-e-fatha hay dagh-e-shikisht nahi

Waah Jumra saheb waah

Poori Nazm lajawaab, be misaal lekin yeah aakhri band to apni misaal aap hai:
yeah band parh kar mehsoos huwa

RAGON MAIN KHOOn NAAHEE LAWA SA BEHNAY LAGA HAI.

THANKS FOR SHARING SUCH A NICE PEICE.


huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya