**Jo meri ankhoon se khuwaab dekho
****To ek bhi shab na so sako
**
**k lakh chaho na Hans sako
**
**Hazar chaho na ro sako
**
**k khuwaab kia hain azaab hain ye
**
**mere dukhoon ki kitaab hai ye
**
**Rafaqatein in main chooteti hain
**
**Mohabbatein in main roothti hain
**
**ukharti sansain hai khuwaab mere
**
**lahu ki sazish hain khuwaab mere
**
**Jo meri ankhoon se khuwaab dekho
To ek bhi shab na so sako
*Jo meri ankhoon se khuwaab dekho
To ek bhi shab na so sako *
Waise yeh sahyr mera fav hai laikin mujhe yeh nahi pata thaa k yeh nazm hai....thanx for sharin....it's beautiful!