Re: meri ankhoon mai ashkhoo'n ka nazara dekhnay walay
waah, zabardast Ghazal paRhvaaii aapne Shab-e-Hijr aapne. ise maiN ne tarannum se paRhii to mazaa do-baalaa hogayaa [merii aawaaz kii vajah se nahiiN...Ghazal ke soz o saaz o dard ke baa'is :)] thank you for sharing :)
*
nahi waqif abhi to dil hamra dekhnay walay
kia hai hum nay tera gham gawara dekhnay walay
tujhay dar tha kay too tofan-e-gham mai dhoob jaye ga
mujhay moujoon ki hasrat thi kinara dekhnay walay
mujhay hairat hai meray dukh ko woh ab tak nahi samjhay
meri ankhoon mai ashkhoo'n ka nazara dekhnay walay
tumhari jalwa-e-gaah-e-naaz mai bhi misal mossa ki
pasieman ho gaye akhir nazara dekhnay walay
lahoo tapka nazar say ashk-e-gham ban kar
bohat roye hain tujh ko besahara deknay walay
Very nice choice Shab:)
*