Meri aankhon mein umand aya hai dariya dil ka

**Meri aankhon mein umand aya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gya ho na kinaara dil ka

Bas mohabbat se rivayat hai kahaani dil ki
Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka

Saans rukti hai to phir jaan ka khayaal aata hai
Dil dharakta hai to lag jaata hai dharka dil ka

Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine
Phir bhi poora na hoa mujh se khasaara dil ka

Meri payaab tamanain batati hain mujhay
Sookh jay ga kuch roz me dariyaa dil ka

Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Hijr mein or hi ho jaata hai lehjaa dil ka

Kiyoon na ay dost abhi tark a mohabbat kar lein
es se pehlay ke badal jay iraada dil ka

Fikr-e-duniya mein mere dil ko bhulanay walay
Teri duniya se zyada hai asaasa dil ka

Ishq kaattay ga abhi or chahtain SAGHAR
Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka…!**

Re: Meri aankhon mein umand aya hai dariya dil ka

aqal humesha dekhti hai aur dil ko samjhati bhi hai but dil ne kub kiski sunni hai :mad:

Re: Meri aankhon mein umand aya hai dariya dil ka

right..............