Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

Mujay Apnay Zabbt pay naaz thaa sar-e-bazmein raat yeh kya howa
Meri Aankh kaisay chalak gayie mujay ranj hia yeh kya howa
Meri Zindghee kay Charagh ka yeh mizaaj koi naya Nahin
Abhi Rooshni abhi Tayrghee, na jala howa na bujja howa
Mujay jo bi Dushman-e-jan Mila wohi pukhta kaar jafa mila
na kisi ki zarb ghalat parri na kissi ka teer khataa howa
Mujay app keun na samaj sakay yeh khud apnay dil he say poochyay
meri Daastaan-e-Hayaat ka tu warq warq hia khula howa
jo nazar bacha kay guzar gy meray samnay say abhi abhi
yeh meray he shyher kay loog thay meray ghar say ghar hia mila howa
hamein iss ka koi bi haq nahin kay shareek-e-bazmein khuloos hou’n
na hamray pass nakaab hia na kuch aas’tein mein chuppa howa
Meray aik ghoosha fiqr mein’ meri zindghee say aziz tar
Mera aik aisa bhi dost hia jo kabhi mila na juda howa
mujay aik gali mein para howa kissi bad naseeb ka khatt mila
kaheen khoon-e-dil say likha howa kaheen aansou’n say mita howa
mujay hum safar bi mila koi tu shaksta haal meri tarah
kai Manzaloun ko thaka howa kaheen raastay mein lutta howa
Hamein apnay ghar say chalay howay Sar-e-rah umer guzar gayie
koi justuju ka sila mila’ Na safar ka haq addha howa

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

beautiful ghazal kakay :k:

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

too long INSHALLAH so k uthnay k baad parhoonga :k:

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

Kaka I liked these shairs in the ghazal, I liked the style and the wordings of the poet. Who is the poet?

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

one of my fav thanks for sharing kaka :)

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

Buhat Khoob KakaY :k:

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

MAshallah kia khuub he yaar.

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

This nazam really impressed me thanks for sharing.

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

I don't know

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

thanks everyone

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

very nice kakay :)

Re: Meri Aankh Kaisay Chalak GAyie

thank you sheal