enter10
1
**Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
Ye dil apni hadoon mein reh k itna toot jata hai
Mein roaon to dar o deewar mujh pey hansnay lagtey hain
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai
Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyon sey
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai
Merey khawaboon ki basti sey janazey uthtay jatey hain
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai
Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si theeas lagti hai zara sa toot jata hai
Muqadar mein merey SaGaR shikast o rakhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon wo sitara toot jata hai**
LP
2
Re: Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
[QUOTE]
*Ye dil apni hadoon mein reh k itna toot jata hai
*
[/QUOTE]
rula diya na aapne :(
enter10
3
Re: Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
rula diya na aapne :(
Sssoorrryyy............
LP
4
Re: Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
shahrokh k movie kkkkkkkkkiran yaad aa gaye 
i hate tht movieee from the depth of my heart 
enter10
5
Re: Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai

jiia
6
Re: Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
**
Mein roaon to dar o deewar mujh pey hansnay lagtey hain
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai
pata nahi kahan kahan se mehnat ker k
hamry rony ka saman kerty hein aap
**