Merey Hamsafar! Merey beykhabar terey naam par
Woh jo phool khiltay they hont par
Woh nahi rahay
Woh nahi rahay kay jo ek rabt tha, darmiyan woh bikhar gaya
Merey hamsafar hai wahi safar
Magar aik moR kay farq say
Terey hath say merey hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Kaee mosamon may badal gaya
Isay naaptay, Isay kat-tay
Mera sara waqt nikal gaya…
Merey hamsafar hai wahi safar
Magar aik moR kay farq say
Terey hath say merey hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Kaee mosamon may badal gaya
Zabardast,
kayi mohsamo me badal ghaya.
bohat Khoob. :-)
Beautiful ![]()
so beautiful & touchy.
I absolutely love this one commy. here is a bit more from the same nazm
meray hamsafar
ussi raKht-e-gham ko samait-tay
ussi khuaab-e-jaaN ko sanbhaaltay
mairay raastay, kai raastonN mai ulajh gaey
woh chiraagh jo meray saath saath thay bujh gaey
woh jo manzilain
kisi aur manzil-e-baynishaan kay ghubaar-e-raah mai kho gaeen
(kai waswasoN kay fishaar mai shab-e-intezaar si ho gaeeN)
woh tanaab-e-dil jo ukkhaR gaee
woh khayaam-e-JaaN jo ujaR gaee
woh jo safeer thay ussi daastaan-e-hayaat kay
jo waraq waraq thi bhari huwi
meray shoq say, teray roop say
kahin chhaaoN say, kahin dhoop say
meray hamsafar, tujhay kiya khabar
yeh jo waqt hay kisi dhoop chhaaoN kay khail sa
issay daikhtay, issay jheeltay
meri aankh gard say att gaee
mairay khaab rait mai kho gaey
meray haath barf say ho gaey
......
Buhat Khoob:k:…
…
lovely:k:
aray aap ka humsafar acha nahee hay.change kerain.nice
bohat khoob :k:
buhai achai :k:
nice:k: