meree jaan co qaraar nahin

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

     dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
     nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

    
    giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
     haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

     hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
     KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

    
    dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
    GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

     qatl ka mere  kiya  hai 'ahad to baare
     waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

    
    toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
    teree  qasam  ka kuchch  'eitbaar naheeN  hai !

Mirza Ghalib

:k:

:k:

:k: