mujhay jo kuch bhi kehna tha abhi me keh nahi paya
mere tehreer ki zad me abhi to kuch nahi aya
abhi bhi karab likhna hai jissay mehsoos karta hon
abhi wo khwab likhnay hain jo ankhon me paltay hain
mujhay unko bhi likhna hai jinhain me dhoondh na paya
abhi wo log likhnay hain jo kho kar haath maltay hain
abhi wo ashk likhna hai kabhi jo beh nahi paya
mere tehreer ki zad me abhi bhi kuch nahi aya
abhi to mausmon ki shokhyan tehreer karni hain
abhi yo phool kaliyan aur sehe-e-shabnam bhi likhni hai
uthanay hain abhi darya say mujhko pyas k pehray
abhi to khushk pairon pay mujhay rim jhim bhi likhni hai
kahin pe dhoop likhni hai kahin pa tergi chaya
mere tehreer ki zad me abhi to kuch nahi aya
abhi to mujh ko likhni hai kisi ki reshmi zulfain
kisi ki surmagii palkain kisi ki ankh ka kajal
kisi ka tootta badal kisi k pyar ki qasam
kiski ki ankahi batain macha dain dil me jo hulchul
abhi woh sub likhna hai jo mera ishq kehlaya
mere tehreer ki zad me abhi to kuch nahi aya
abhi to wo safar likhna hai jo darpaish hai mujho
abhi to tumko apni pyas ka sehra dikhana hai
abhi to hijr ki likhni hain sari matmi ratain
abhi to aisay lamhon ka bhi tumko lutf sunana hai
k jin say ashk ankhon me magar iss dil ko behlaya
mere tehreer ki zad me abhi to kuch nahi aya
mujhay jo kuch bhi kehna tha abhi me keh nahi paya
abhi bhi karab likhna hai jissay mehsoos karta hon
abhi wo khwab likhnay hain jo ankhon me paltay hain
mujhay unko bhi likhna hai jinhain me dhoondh na paya
abhi wo log likhnay hain jo kho kar haath maltay hain
abhi wo ashk likhna hai kabhi jo beh nahi paya
mere tehreer ki zad me abhi bhi kuch nahi aya
wah ....amazing stuff as alwayzzz .....very nice :)