Mein har baar khud se yeh sawaal karti hon
Zindagi kya hai, kya mein is se pyar karti hon
Woh ek khwab dekha tha zindagi ka shayad kabhi mein ne
Apne halaat se roz bikharta dekhti hon
Mere sha’oour mein roz kuch toot’ta bikharta rehta hai
Mein roz ussay samait kar phir tayyar kar laiti hon
Raiza raiza apne wajood ki kircheyoon se mein
Dil ke zaray zaray ko khoon aalooda karti hon
Ranjish zakhm se choor choor hai dil-o-zehan mera
Har pal taptay sehra mein rait per sulaghti hon
Mil jaega kabhi tu ek boond ka thikaana kaheen
Apni peyaasi rooh ko ek aas dilaati rehti hon
Esaar, tamanna, pyar o muhabbat ka duniya mein
Bahut shor suna hai jis ka, woh talaash karti hon
Hamain majnoo, begaana hi samajhti hai duniya
Magar mein sab se kahaan ittefaaq karti hon
Mein ne lafzoo ko pakeezgi ki dhanak se sajaya thaa
Meri takhleeq ko kam-fehmoo ne rang kuch hi de diya
Itni tu samajh thee mujhe duniya shanasooo ki
Tabhii tu fasana-e-dil ko ashaar mein raqam karti hon
Apni aarzoo’oon ko jala kar raakh hone ke baad mein ‘Faiza’
Apne khwaaboon ko khud dhuwey mein urra deti hon
[Faiza Ateeq-ur-Rehman]