**Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Meare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tere Baghair Na Jee Sake,
Usse Jeene Ki To Duaa Na De…
.
Tu Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
Tu Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai
Mare Jism-o-jaan Ka Ye Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na De
.
Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na De ,
.
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha isey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,
.
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaiyoon Ki Sazaa Na De….
**