Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day,

To Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai
Mare Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,

Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,

Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day,

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Kya baat hey janaab :k: … zabardast nazm hey..thanx for sharing :slight_smile:

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Nice piece of work.....
inspiring.

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

zabardast

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Very nice :k:

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Beautiful poem BB,:k: :slight_smile:
iss baar neela rung nazar nahi ayaa haerat hay:-p

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

neela aasmaa’N so gaya hai :frowning:

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

beautiful and welcome back Bb :)

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

:slight_smile:

Amal aap say ayk zaroori kaam hay, rabta hoota hay insha Allah soon aap say. :slight_smile:

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Muzna , sad_affect , Prince Ali ....................... thanks !

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Danke Schön ! :slight_smile:

aap ko kidher say yaad a giya neela rung? wasay yeh jo pak.org ka version hay iss main mughay khuch kurna hii nahi aata. aur ub tu wasay bhi black & white cheesain hi achi lugti hain ~~)

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

thanks. loog bahut imtehan laytay hain tu soocha atleast wo tu na lay na :slight_smile:

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Bohat khoob..

Re: Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

*wah wah maar dala zalim ...... nice sharing Bholay *