mere saath tum bhii duaa karo

mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho

mere ghar se raat kii sej tak vo ik aa.Nsuu kii lakiir hai
zaraa ba.D ke chaa.Nd se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho

sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho

vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n
jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKhs un se Khafaa na ho

vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho

mujhe yuu.N lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke ho.NTh titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patto.n kii oT me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho

Re: mere saath tum bhii duaa karo

hmmm...

Re: mere saath tum bhii duaa karo

Sehr gut BB:-) yeh bhi kaali siyahi say likhi gai wow:~)

Re: mere saath tum bhii duaa karo

hamari dua ap k sath sath hai..:)

Re: mere saath tum bhii duaa karo

My all-time favourite from Bashir Badr. Thanx Bholay Bisray for posting this beauty :)

Re: mere saath tum bhii duaa karo

GuL-e-Tasbeeh :- chulain aynda black nahi ho gi ji actually mughay pata hi nahi tha kay yeh colors koi kidher chuppa kay rukha hova tha un loogoon nay. aber jets weis ich auch**, khush?

Koyal :- **:halo: Shukriya

**Amal **:- buss time hoota na :frowning:
%between%

Re: mere saath tum bhii duaa karo

Very nice :k:

Re: mere saath tum bhii duaa karo

isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho

maza aagaya...bus ye bata dijiye ye Ghazal "Bashir Badr" ki hai?

Re: mere saath tum bhii duaa karo

best of the best !

Re: mere saath tum bhii duaa karo

isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho

beutifull

Re: mere saath tum bhii duaa karo

It was ** Bashir Badr**`s beauty.

Thanks ::: Prince Ali **::: usman22 ::: Problem _girl ::: sad_affect**

Re: mere saath tum bhii duaa karo

nice sharing........!

Re: mere saath tum bhii duaa karo

Very nice stuff** Bholay Bisray**, thnx for posting