Us pe khul jaati mere shauq ki shiddat saari
Dekhay hotay jo mere paun ke chaalay us ne
Jis ka har aib zamaanay se chupaaya mein ne
Mere qissay sar-e-bazaar uchaalay us ne
Jab ussay meri muhabbat pe bharosa hi na thaa
Kyun deye meri wafao’oun ke hawaalay us ne
Meri dam torti khwahish ka khayal aa na saka
Apne armaan haemsha hi nikaalay us ne
Aik mera hi tu haath na thamma un se
Warna girtay huwe kitne hi sambhaalay us ne …