mere qareeb na aao ki main sharaabi huun
meraa sha_uuf jagaao ki main sharaabi huun
zamaane bhar ki nigaaho.n se gir chukaa huun main
nazar se tum na giraao ki main sharaabi huun
ye arz karataa huun gir ke Khuluus vaalo.n se
uThaa sako to uThaao ki main sharaabi huun
tumhaari aaNkh se bhar luu.N suruur aa.Nkho.n mein
nazar nazar se milaao ki main sharaabi huun