mere qaabuu me.n na paharo.n dil-e-naashaad aayaa

mere qaabuu me.n na paharo.n dil-e-naashaad aayaa

mere qaabuu me.n na paharo.n dil-e-naashaad aayaa
vo meraa bhuulane vaalaa jo mujhe yaad aayaa

dii mu’azzin ne shab-e-vasl azaan pichhalii raat
haaye kam-baKht ko kis vaqt Khudaa yaad aayaa

liijiye suniye ab afasaanaa-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa

aap kii mahafil me.n sabhii kuchh hai magar “Daag” nahii.n
mujh ko vo Khaanaa-Kharaab aaj bahot yaad aayaa

:k:

Nice one !!!

Ujray howay logoon say guraizaan na howa kar
Halaat ke kabroon kay yeh kutbay bhi parha kar

Kaya janiyeah kiyoon taiz hawa soch mein gum hai ?
Khawbdeeda parindoon ko darakhtoon say urra kar

Uss shakhs kay tum say bhi marasim hain tu hoongay
Who jhoot na bolay ga mairay samnay aa kar

Har waqat ka hansna tujhay barbaad na kar dai
Tunhai kay lamhoon mein kabhi roo bhi liya kar

Who aaj bhi sadiyoon ke musafaat pay khara hai..
Dhoonda tha jissay waqat ke divaar girraa kar..

Aye dil tujhay dushman ke pahchaan kahana hai..
Tu halqa e yaraan mein bhi mohtaat raha kar..

Iss shab kay muqadar mein shahar hee nahi mohsin
Daikha hai kai baar charaghoon ko bujha kar..

thank you guys :)

nice 1 :k: