mere paas ashq-e-nadaamat ke siwaa kuch bhi nahin!!

Dil mein ab dard-e-mohabbat ke sivaa kuch bhi nahin,
zindagi meri ibaadat ke sivaa kuch bhi nahin

Mein teri barah-gah-e-naaz mein kyaa pesh karoon,
meri jholi mein mohabbat ke sivaa kuch bhi nahin

Aye Khuda mujhse na le mere gunaahon ka hisaab,
mere paas ashq-e-nadaamat ke siwaa kuch bhi nahin

Woh to mitt kar mujh ko mil hi gaye rahaat warna,
zindagi ranj-o-musibat ke siwa kuch bhi nahin !

Beautiful....

ye ask-e-nidaamat bhi kisii kisii ko hi milte hain!

buhat khoob :k:
nice sharing.

Re: mere paas ashq-e-nadaamat ke siwaa kuch bhi nahin!!

Wah, x c lent, zabardast,

zabardast :flower1:

lajavab:k::k:

Haar aik kay aisay naseeb kahan!

Thanks dilsay ji , Man ji, wet eyes , ghazal and ullu ji !

Re: mere paas ashq-e-nadaamat ke siwaa kuch bhi nahin!!

Beautiful:k:…thanx for sharing.

very nice sis :k:

thanks chandu :kiss:

and amal bhai !

bohat alaa lamhay :flower1:

khoobsurat :k:

Re: mere paas ashq-e-nadaamat ke siwaa kuch bhi nahin!!

zaberdastt :k:

Bahut aa’laa :k::k::k:

massarat aur kabhi gam se ravaaN hotaa hai ashk
bheegi palkoN ke sai meiN javaaN hotaa hai ashk

TooTe rishtoN ke dhaagoN se bunaa hotaa hai ashk
moti aaNkho ka matti meiN fannah hotaa hai ashk

har khamosh zubaaN ka gavaah hotaa hai ashk
har maayoos insaaN ki panaah hotaa hai ashk

bevafaa se vafaa meiN mila silaa hotaa hai ashk
mehboob ke dil meiN chhupaa gilaa hotaa hai ashk

sulagti hui tamanna ka dhuaaN hotaa hai ashk
gunaah ki raNjish ka nishaaN hotaa hai ashk

yeh bhi ajab kaisa janooN hotaa hai “ASHK”
rulaata hai or dil ko skooN hotaa hai ashk

Beautiful Lamhay :hug: nice to see you again

Zabardast:flower1:…