Mere khwabon say oojhal uss ka chehra ho gaya hai
Main aisa chahta kab tha per aisa ho gaya hai
Ta’aluq ab yahan kam hai mulaqatain zyada
Hajoom-e-shehr main her shaks tanha ho gaya hai
Teri takmeel ki khwahish to poori ho na payee
Magar ik shaks mujh main bhi adhoora ho gaya hai
Jo bagh-e-aarzoo tha ab wohi hai dasht-e-wehshat
Ye dil kya honay wala tha magar kya ho gaya hai
Main samjha tha siye gi aagahee chak-e-junoon ko
Magar ye zakhm to pehlay say gehra ho gaya hai
Main tujh say sath bhi to umar bhar ka chahta tha
So ab tujh say gila bhi umar bhar ka ho gaya hai
Tere aanay say aaya kaun sa aisa taghaiiyur
Faqat tark-e-marasim ka madawa ho gaya hai
Mera aalam agar poochain to unn say arz karna
Ke jaisa app farmatay thay waisa ho gaya hai
Yaqeenan ham ne aapas main koi wada kiya tha
Magar iss guftagu ko aik arsa ho gaya hai
Ye bechaini hamesha se meri fitrat hai lekin
Baqadr-e-umar iss main kuch izafa ho gaya hai
Main kya tha aur kya hUn aur kya hona hai mujh ko
Mera hona to jaisay ik tamasha ho gaya hai