kal yah likhtiN thiN bicharhna tumheN manzoor nahiN
ab yah likhti ho mere khat mujhe waapis ka do..
zikar pairoN meN khanakti hui zanjeer ka hai
uzar, bimaari-e-dil, sho-mayi taqdeer ka hai
fikar, har khawaab ki bigrhi hui taqdeer ka hai
khof guzre hue din raat ki tash.heer ka hai
goya tum jaisa jahaN meN koi majboor nahiN
kal yah likhtiN thiN bicharhna tumheN manzoor nahiN
ab yah kahti ho mere khat mujhe waapis kar do
gul-e-afsurda-o-maghmoom ho pahle ki tarah
harf-e-taskeen se mahroom ho pahle ki tarah
har sitam kar ke bhi mazloom ho pahle ki tarah
yaani masoom ki masoom ho pahle ki tarah
yah alag baat hai ke chahre pe kahiN noor nahiN
kal yah likhtiN thiN ke bicharhna mujhe manzoor nahiN
ab yah kahti ho mere khat mujhe waapis kar do..
kaash haasil ho tumhe rutbay-e-aali sarkaar
chashm-e-duniya meN raho ban ke misaali sarkaar
yah magar sach hai meri motiyoN waali sarkaar
dast-e-waahid se to bajti nahiN taali sarkaar
baahmi rabt-o-mohabbat ka yah dastoor nahiN
kal yah likhtiN thiN bicharhna mujhe manzoor nahiN
ab yah kahti ho mere khat mujhe waapis kar do..
tum pe bhi qarz hai awwal mujhe waapis kar do
mera barsa hua baadal mujhe waapis kar do
mera beeta hua har pal mujhe waapis kar do
apne khat le lo, mera kal mujhe waapis kar do
main gunahgaar-e-wafa, mujram-o-mafroor nahiN
kal yah likhtiN thiN bicharhna tumhe manzoor nahiN
ab yah kahti ho mere khat mujhe waapis kar do..
Dil mein ab aur kya hai jisay dhoondati hai khalak
Kafi hai zindadgi ko shakast-e-ana ka dukh!
Kyun in dinon sawaar hai do kashtiyon pay dil
Chaahat ik ajnabi ki to dukh ik aanshna ka!