yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb a'a
mai bhi khasta dil ho teri tarha meri maan meray kareeb a'a
mai samnadroo’n ki hawa nahi kay tujh ko dekhaye na day sakoo’n
koi bhola bisra khyaal ho na gumaa’n meray kareeb a’aa
na chupa kay zakhm-e-wafa hai kya, teri arzoo’n ki khata hai kya
teri chara ghar na ye zindagi na jaha’n meray kareeb a’aa
tujhay asay wasoo’n ki dosti nay bohat khrab-o-khajal kya
kisi jhoot ka ye naqaab rukh pay na taan meray kareeb a’aa
jo nikal sakay to nikal lay koi waqt apnay liye kabhi
meray pass beth kar ro to lay kisi aa’n meray kareeb a’aa
na maaklma ho na guftago faqat itna ho kay na mai na tu
milay sirf apnay jalay huway dil-o-jaan meray qareeb a’aa
Re: Mere Kareeb A’aa
bohat alaa per main maan (mother) samajh rhi thi iss liye thorri centimental ho gai or taare zameen pe ka maan song yad a gaya 
Re: Mere Kareeb A’aa
LOL its no Maaa its AAAAAAAAAAAAAAa 
UZ
4
Re: Mere Kareeb A’aa
Right on spot I thought it was maa too and I was thinking meri maan kareeb aaye 
Re: Mere Kareeb A’aa
I think u two are high on Ferraro 
Amal
10
Re: Mere Kareeb A’aa
Achi ghazal hey **Shab **
k:
Amal
11
Re: Mere Kareeb A’aa
Piyarey bachcho… matley ke misra-e-oola meiN qaafya jaan hey to misra-e-saani meiN **maaN **kesey ho ga???
… common sense kidz common sense 
fara
12
Re: Mere Kareeb A'aa
Behtreen ghazal hay Shab...
UZ
13
Re: Mere Kareeb A’aa
yes I was high on Godiva 
ab is ghazal ko parhnay kaa maza chala gaya ab samjh ker kisi aur time parhoon gi jab maan bhool jaaye gi 
Re: Mere Kareeb A’aa
phir kabhi maza nai aye ga kiunkay maan bhoolnay wali cheez nai 
UZ
15
Re: Mere Kareeb A’aa
aap yaad dilati rahein mujhe achi khaasi ghazal kharaab ker di hai mein nay
Shayar apni qabr mein ro raha ho gaa
Re: Mere Kareeb A’aa
qari sahab ab sath walon k haan b chale jayen…hamain sab kuch a gaya hai 
Re: Mere Kareeb A’aa
nai roye ga…kya pata wo zinda ho 
UZ
18
Re: Mere Kareeb A’aa
Shab yeh kis ki ghazal hai
becharay ko ham ney mara hoa shayaar samjha hoa hai 
UZ
19
Re: Mere Kareeb A’aa
yeh mein ney ab socha hai 
Re: Mere Kareeb A’aa
plz achi achi batain socha karain..kal ko meri kisi ghazal ko aisa samajh lia to 