Mere Humsafr
Wo jo aik rishta-e Durd tha
Mere naam ka tere naam say
Teri Subh ka meri shaam say
Sur-e rah guzr hai para howa
Wohi khwaab-e jaan
Ussi rukht-e ghum ko samait-tay
Ussi khwaab-e Jaan ko sanbhaltay
Mere rastay kai rastoon say ulaajh gay
Wo chiraagh jo mere saath saath thay Bhuj gay
Kissi aur manzil-e baynishaan k ghubaar-e rah mein kho gay
Mere humsafr
Tujhe kia khabr
Jo waqt hai kissi dhoop chahoon k khail sa
Ussay dhaikhtay ussay jhailtay
Meri aankh gird say ut gayee
Mere baykhabr tere naam pur
Wo jo phool khitay thay hoont pur
Wo nahi rahay
Wo nahi rahay k jo aik rubt tha durmiyan wo bikhur gaya
Mere Humsafr
Hai wohi Safr
Mgr aik moor k furq say
Tere haath say Mere haath tuk
Wo jo haath bhur ka tha Faasla
Kai Mosum-on mein badul gaya
Jissay kat-tay jissay Naaptay
Mera sara Waqt nikul gaya
*