aapko dekh kar dekhta reh gaya
kia kahoon aur kehne ko kia reh gaya
unki ankhon se kaise chalakne laga
mere honton peh jo maajra reh gaya
aisey bichrey sabhi raat ke mor par
aakhri humsafar raasta reh gaya
soch kar Ao quw-e-tamana hai yeh
jaane-man jo yahan reh gaya reh gaya